Friday, 16 November 2012

Zindagi - Ek Bhoj!!

Jaan jaaye, Jahaan jaaye
Maa-baap ke daman pe kabhi naa aanch aaye,


Agar unka sar fakr se uncha na kar paaye
Yaad rakhna unka sar tumhari wajah se jhuk naa jaaye,

Jhuk gaya agar unka sar tumhari badaulat
Dua karna us din tumhari zindagi khatam ho jaaye,


Dekha hai maine un sunhari aankhon se ashkon ke jarne behte hue
Dekha hai maine un adhoori khwashion ko ek pal mai tootte hue,


Jo maine dekha hai khuda wo tumhe kabhi naa dekhaye
Kya hota hai us bhoj ke saath jeena shayad hi zindagi mai koi usko samaj paaye.


Reminiscence

Passing down the memory lane, With countless thoughts in her brain. She used to walk down the street, On her cute li'l li'l feet. To...