Mohabbat ke izhaar mai kya rakha hai
wo to mai kabhi bhi kar du,
wo to mai kabhi bhi kar du,
Lekin wo izhaar-e-mohabbat hi kya hai
jisme main tera daman khushiyan se naa bar du,
jisme main tera daman khushiyan se naa bar du,
Wo khushiyan bhi tumhara daman naa bhar saki
tumhe to pata nhi kaunse chand sitaron ki padi thi,
tumhe to pata nhi kaunse chand sitaron ki padi thi,
Mai samjata raha lekin tum samaj naa saki
ki chand taaro se khushiyan meri kayeen badi thi,
ki chand taaro se khushiyan meri kayeen badi thi,
Deewane to mujhse pehle bhi the kayeen
chand taare to wo samet ke le gaye kahin,
chand taare to wo samet ke le gaye kahin,
Ab kaise cheen lau wo chand taare unse
jinki roshni k barose jee rhe hain wo sabhi,
jinki roshni k barose jee rhe hain wo sabhi,
Chand taro se kabhi kisi ke ghar nhi baste
ghar chalte hai to sirf pyaar mohabbat se,
Ikraar karne se kabhi deewane nhi bante
deewane bante hai to sirf beshumar mohabbat se.
deewane bante hai to sirf beshumar mohabbat se.

a thoughtful poem abt MOHABBAT...nice... :) :)
ReplyDeletethanx gyan bhaiya.........:)
ReplyDeleteNyc...lines
ReplyDelete